Lyric4U
Zindagi-E-Zindagi

Yudh

Watch Video
Lyrics
Zindagi-e-zindagi dekh meri bebasi
Zindagi-e-zindagi dekh meri bebasi
Zindagi-e-zindagi dekh meri bebasi
Mere har sawaal ka tu jawaab de
Ya toh mujhe zehar de, ya sharab de
Tu sharab de
Zindagi-e-zindagi dekh meri bebasi
Aansun banke main kabhi aankh se na beh sakoon
Mooh se kuch na keh sakoon aur chup na reh sakoon
Itne gham na de mujhe, main na jinko seh sakoon
Meri khushiyan kya hui kuch hisaab de
Ya toh mujhe zehar de, ya sharab de
Tu sharab de
Zindagi-e-zindagi dekh meri bebasi
Apne aap se khafa kar diya naseeb ne
Mujhko apno se juda kar diya naseeb ne
Har dua ko baddua kar diya naseeb ne
Chhin gaye hai mujhse joh, vapas woh khwaab de
Ya toh mujhe zehar de, ya sharab de
Tu sharab de
Zindagi-e-zindagi dekh meri bebasi
Mere har sawaal ka tu jawaab de
Ya toh mujhe zehar de, ya sharab de
Tu sharab de
Zindagi-e-zindagi dekh meri bebasi
Watch Video