Lyric4U
Zamana Toh Hai Naukar Biwi Ka

Naukar Biwi Ka

Watch Video
Lyrics
Hey sambhal
Arre log mujhe kyun dete hai taana
Haan main hoon biwi ka deewana
Arre toh kya hua
Zamana toh hai naukar biwi ka
Zamana toh hai naukar biwi ka
Log mujhe kyun dete hai taana
Haan main hoon biwi ka deewana
Zamana toh hai naukar biwi ka
Zamana toh hai naukar biwi ka
Sare shehar ko aankh dikhaye sabki udaye khilli
Shohar bahar sher bane par ghar mein bheegi billi
Sare shehar ko aankh dikhaye sabki udaye khilli
Shohar bahar sher bane par ghar mein bheegi billi
Ghar ghar ka dastoor yahi hai Bambai ho ya Dilli ... kya
Zamana toh hai naukar biwi ka
Zamana toh hai naukar biwi ka
Zamana toh hai naukar biwi ka
Jai ho patni rani!
Har puja se badkar dekhi maine patni puja
Pyar mein dooba biwi ke toh aur nahi kuch sujha
Har puja se badkar dekhi maine patni puja
Pyar mein dooba biwi ke toh aur nahi kuch sujha
Duniya mein khush rehne ka koi aur na rasta duja ... kyun
Kyun ki zamana toh hai naukar biwi ka
Biwi aisi kahan doosri mahu mahu mahu
Karunga sari umar naukri mahu mahu mahu
Dunga main din raat salami
Karunga main har waqt ghulami
Pyar mujhe tu sacha dede, dede, dede, dede ... kya
Dede bas ek bacha dede
Dede bas ek bacha dede
O don't be silly, shut up
Main toh bolunga, main toh bolunga
Koi kunwara maane na maane
Shaadi joh karle yeh wohi jaane
Zamana toh hai naukar biwi ka
Arre chhodo na
Zamana toh hai naukar biwi ka
Uff o yeh kya kar rahe ho
Zamana toh hai naukar biwi ka
Arre re re Dadaji dekh rahe hai
Zamana toh hai naukar biwi ka
Uff o chhodo na
Watch Video