Lyric4U
Yeh Shama Toh Jali

Aya Sawan Jhoom Ke

Watch Video
Lyrics
Yeh shama toh jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaaye toh yeh shama kya kare
Yeh shama toh jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaaye toh yeh shama kya kare
Yeh hawa toh chali saans le har koi
Ghar kisi ka ujad jaaye aandhi mein toh yeh hawa kya kare
Chalke purab se thandi hawa aa gayi
Chalke purab se thandi hawa aa gayi
Uthke parbat se kaali ghatta chha gayi
Yeh ghatta toh uthi pyaas sabki bujhe
Aashiyan pe kisi ke giri bijliyan toh yeh ghatta kya kare
Yeh shama toh jali roshni ke liye
Poochta hoon main sabse koi de jawaab
Poochta hoon main sabse koi de jawaab
Nakhuda ki bala kya khatta hai janaab
Nakhuda leke sahil ke janib chala
Doob jaaye safina joh majhdhaar mein toh nakhuda kya kare
Yeh shama toh jali roshni ke liye
Woh joh uljhan si tere khayalon mein hai
Woh joh uljhan si tere khayalon mein hai
Woh ishara bhi mere sawalon mein hai
Yeh nigah toh mili dekhne ke liye
Par kahin yeh nazar dhokha kha jaaye toh toh yeh nigah kya kare
Yeh shama toh jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaaye toh yeh shama kya kare
Watch Video