Yeh Raatein Nayi Purani
Julie (1975)
Lyrics
Yeh raatein nayi purani
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hai koi kahani
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hai koi kahani
Yeh raatein
Aa raha hai dekho koi, jaa raha hai dekho koi
Sabke dil hai jaage jaage, sabki aankhen khoyi khoyi
Khamoshi karti hai baatein
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hai koi kahani
Yeh raatein
Kya samma hai jaise khushboo udd rahi ho kaliyon se
Guzri ho nindiya mein palkon ki galiyon se
Sundar sapno ki baraatein
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hai koi kahani
Yeh raatein
Kaun jaane kab chalengi kis taraf se yeh hawayein
Saal bhar toh yaad rakhna aisa na ho bhool jaayein
Is raat ki mulaqatein
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hai koi kahani
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hai koi kahani
Watch Video