Yeh Raat Aashiqana
Naya Andaz
Lyrics
Yeh raat aashiqana, chaaya samaa suhana
Nazrein milane wale dil bhi zara milana
Zulfein haseen ghatayein, aankhen sharab khana
Tujhse nazar mili kya dil ho gaya deewana

Tere liye hai aaja palkon ke yeh ishaare
Honthon ki mast kaliyan aankhon ke shok taare
Chaaya hua nasha hai, apni kise khabar hai
Kya jaane main kahan hoon, kya jaane dil kidhar hai

Kuch keh raha hai tujhse yeh dilruba zamana
Nazrein milane wale dil bhi zara milana
Zulfein haseen ghatayein, aankhen sharab khana
Tujhse nazar mili kya dil ho gaya deewana
Behke hue kadam hai, behki hui fiza hai
Dil ka har ek armaan tujhko pukarta hai
Dil mein tujhe bitha le, aankhon mein aa chupa le
Yeh door ke ishaare humko na maar dale
Kuch main kareeb aaun, kuch tu kareeb aana
Nazrein milane wale dil bhi zara milana
Zulfein haseen ghatayein, aankhen sharab khana
Tujhse nazar mili kya dil ho gaya deewana
Yeh raat aashiqana
Watch Video