Lyric4U
Yeh Jo Des Hai Tera

Swades

Watch Video
Lyrics
Yeh jo des hai tera
Swades hai tera
Tujhe hai pukara
Yeh woh bandhan hai
Jo kabhi toot nahin sakta
Mitti ki hai jo khushboo
Tu kaise bhulayega
Tu chahe kahin jaye
Tu laut ke aayega
Nayi nayi raahon mein
Dabi dabi aahon mein
Khoye khoye dil se tere
Koi yeh kahega
Yeh jo des hai tera
Swades hai tera
Tujhe hai pukara
Yeh woh bandhan hai
Jo kabhi toot nahin sakta
Tujhse zindagi
Hai yeh keh rahi
Sab toh paa liya
Ab hai kya kami
Yoon toh sare sukh hai barse
Par door tu hai apne ghar se
Aa laut chal tu ab deewane
Jahan koi toh tujhe apna maane
Aawaaz de tujhe bulane, wohi des
Yeh jo des hai tera
Swades hai tera
Tujhe hai pukara
Yeh woh bandhan hai
Jo kabhi toot nahin sakta
Yeh pal hai wohi
Jis mein hai chupi
Poori ek sadi
Sari zindagi
Tu na pooch raaste mein kahe
Aaye hai is tarah do rahe
Tu hi toh hai raah jo sujhaye
Tu hi toh hai ab jo yeh bataye
Jaye toh kis disha mein jaye, wohi des
Yeh jo des hai tera
Swades hai tera
Tujhe hai pukara
Yeh woh bandhan hai
Jo kabhi toot nahin sakta
Watch Video