Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahaan
Veer Zaara
Lyrics
Lehrati hui raahein
Khole hue hai baahein
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Palkon pe gehre halke
Hai reshmi dhundhal ke
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Haan yeh hum aa gaye hain kahaan
Woh dekho zara
Parbaton pe ghatayein
Hamari daastan haule se sunaye
Suno toh zara
Yeh phoolon ki vaadi
Hamari hi koi kahani hai sunati
Sapnon ke is nagar mein
Yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Haan yeh hum aa gaye hain kahaan
Joh raahon mein hai
Rut ne sona bikhera
Sunehra hua tera mera savera
Zameen so gayi
Barf ki chadaron mein
Bas ek aag si jalti hai do dilon mein
Hawayein sansanayein
Badan kaanp jaaye
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Haan yeh hum aa gaye hain kahaan
Yeh barsaat bhi
Kab thame kaun jaane
Tumhe mil gaye pyar ke sau bahane
Sitaaron ki hai
Jaise baaraat aayi
Hamare liye raat yun jagmagayi
Sapne bhi jhilmilayein
Dil mein diye jalayein
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Haan yeh hum aa gaye hain kahaan
Haan yeh hum aa gaye hain kahaan
Watch Video