Yeh Hai Bombay Meri Jaan
C.I.D. (1956)
Lyrics
Ae dil hai mushkil jeena yahan
Zara hatke zara bachke yeh hai Bombay meri jaan

Kahin building, kahin traame, kahin motor, kahin mill
Milta hai yahan sab kuch ik milta nahi dil

Insaan ka nahi kahin naam-o-nishaan
Zara hatke zara bachke yeh hai Bombay meri jaan
Ae dil hai mushkil jeena yahan
Zara hatke zara bachke yeh hai Bombay meri jaan
Kahin satta, kahin patta, kahin chori, kahin race
Kahin daaka, kahin phaanka, kahin thokar, kahin thes

Bekaaro ke hai kayi kaam yahan
Zara hatke zara bachke yeh hai Bombay meri jaan
Ae dil hai mushkil jeena yahan
Zara hatke zara bachke yeh hai Bombay meri jaan
Beghar ko awaara yahan kehte hans hans
Khud kaate gale sabke kahe isko business

Ik cheez ke hai kayi naam yahan
Zara hatke zara bachke yeh hai Bombay meri jaan
Ae dil hai mushkil jeena yahan
Zara hatke zara bachke yeh hai Bombay meri jaan
Bura duniya ko hai kehta aisa bhola tu na ban
Joh hai karta woh hai bharta hai yahan ka yeh chalan

Dadagiri nahi chalne ki yahan
Yeh hai Bombay, yeh hai Bombay, yeh hai Bombay meri jaan
Ae dil hai mushkil jeena yahan
Zara hatke zara bachke yeh hai Bombay meri jaan
Ae dil hai aasaan jeena yahan
Suno mister suno bandhu yeh hai Bombay meri jaan

Watch Video