Yeh Andha Kanoon Hai
Andhaa Kaanoon
Lyrics
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Jaane kahan daga de de
Jaane kise saza de de
Saath na de kamzoron ka
Yeh saathi hai choron ka
Baaton aur daleelon ka
Yeh hai khel vakeelon ka
Yeh insaaf nahi karta
Kisi ko maaf nahi karta
Maaf isse har khoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Log agar isse darte
Mujrim jurm na karte
Yeh maal lootere loot gaye
Rishvat dekar chhut gaye
Asmatein looti, chali goli
Isne aankh nahi kholi
Kala dhandha hota raha
Yeh kursi par sota raha
Duniya ki imaarat ka
Kachcha ik sutoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Lambe iske haath sahi
Taqat iske saath sahi
Par yeh dekh nahi sakta
Yeh bin dekhe hai likhta
Jail mein kitne log sade
Sooli par nirdosh chadhe
Jail mein kitne log sade
Sooli par nirdosh chadhe
Main bhi iska maara hoon
Pagal hoon, aawara hoon
Yaaron mujhko hosh nahi
Sar mere junoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Yeh andha kanoon hai
Watch Video