Yeh Aaj Kya Ho Gaya
Luck By Chance
Lyrics
Suraj meri khidki se joh hai jhankta
Kirano ko jaise mil gaya hai rasta
Hasti hui aa gayi ... o o o
Kamre mein jitni neend thi sab udh gayi
Umeed jaate jaate vapas mudh gayi
Laut aayi hai phir yahin ... o o o
Jaane yeh sab kya hai
Joh bhi hai naya sa hai
Pairon taale dil kho gaya
Yeh aaj kya ho gaya
Duniya hi badlane ko hai
Zindagi sawarne ko hai
Jaane kyun yeh mujhko hai laga
Lachki hai joh dil ki daali
Kaliyan ab hai khilne waali
Haule haule paas aake dheeme se gaye hawayein
Jaane yeh sab kya hai
Joh bhi hai naya sa hai
Pairon taale dil kho gaya
Yeh aaj kya ho gaya
Sach baari baari ho rahe sab khwaab hai
Panchi udaane bharne ko betaab hai
Aankhon mein hai aasmaan ... o o o
Resham ke jaisi narmi hai har baat mein
Ujle hai din aur chandni hai raat mein
Har lamha hai meherbaan ... o o o
Jaane yeh sab kya hai
Joh bhi hai naya sa hai
Pairon taale dil kho gaya
Yeh aaj kya ho gaya
Watch Video