Lyric4U
Yeh Aaina

Kabir Singh

Watch Video
Lyrics
Yeh aaina hai ya tu hai joh roz mujhko sawaare
Itna lagi sochne kyun main aaj kal tere baare
Tu jheel khamoshiyon ki
Lafzon ki main toh lehar hoon
Ehsaas ki tu hai duniya
Chota sa main ek shehar hoon
Yeh aaina hai ya tu hai joh roz mujhko sawaare
Khud se hai agar tu bekhabar
Bekhabar rakh loon main tera khayal kya
Chupke chupke tu nazar mein utar
Sapno mein loon main sambhal kya
Sapno mein loon main sambhal kya
Main daudke paas aaun tu neend mein joh pukare
Main ret hoon tu hai dariya, baithi hoon tere kinare
Yeh aaina hai ya tu hai joh roz mujhko sawaare
Tanha hai agar tera safar humsafar
Tanhai ka main jawaab hoon
Hoga mera bhi asar tu agar
Padh le main teri kitaab hoon
Padh le main teri kitaab hoon
Seene pe mujhko sajake joh raat sari guzaare
Toh main savere se keh doon mere shehar tu na aa re
Yeh aaina hai ya tu hai joh roz mujhko sawaare
Watch Video