Yahan Main Ajnabi Hoon
Jab Jab Phool Khile
Lyrics
Kabhi pehle dekha nahi yeh samma
Yeh main bhool se aa gaya hoon kahan
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Main joh hoon bas wohi hoon
Main joh hoon bas wohi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Kahan shaam-o-sehar yeh, kahan din raat mere
Bahut rusva huye hai yahan jazbaat mere
Nayi tehzeeb hai yeh, naya hai yeh zamana
Magar main aadmi hoon wohi sadiyon purana
Main kya jaanu yeh baatein zara insaaf karna
Meri gustakhiyon ko khudara maaf karna
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Teri baahon mein dekhun sanam gairon ki baahein
Main launga kahan se bhala aisi nigaahein
Yeh koi raks hoga, koi dastoor hoga
Mujhe dastoor aisa kahan manzoor hoga
Bhala kaise yeh mera lahu ho jaaye pani
Main kaise bhool jaaun main hoon Hindustani
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Mujhe bhi hai shikayat tujhe bhi toh gila hai
Yahi shikve hamari mohabbat ka sila hai
Kabhi maghrib se mashriq mila hai joh milega
Jahan ka phool hai joh wahin pe woh khilega
Tere oonche mahal mein nahi mera guzara
Mujhe yaad aa raha hai woh chota sa shikara
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Main joh hoon bas wohi hoon
Main joh hoon bas wohi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Watch Video