Yaaron Sun Lo Zara
Rangeela
Lyrics
Yaaron sun lo zara haan apna yeh kehna
Jeena ho toh apun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla nahi na sahi na sahi
Bank balance nahi na sahi na sahi
TV video nahi na sahi na sahi
Suiting shirting nahi na sahi na sahi
Inki humko kyun ho fikar
Jee lo jaise mast kalandar
Pyaron sun lo zara haan apna bhi kehna
Jeena ho toh apun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla agar ho toh kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
TV video agar hai toh kya hai maza
Dressing vressing se kuch aur hi thaath hai
Inki karlo kuch toh kadar
Yaaron thoda jaao sudhar
Yaaron sun lo zara haan apna yeh kehna
Jeena ho toh apun ke jaise hi jeena
Humko dekho hum hai yaara
Apni marzi ke raja
Duniya bole toh maza hai
Na kaho khud ko raja
Naam apun ka Munna bhai
Hum kare woh joh dil mein samaai
Arre dhanda kiya na kiya kya fikar
Kaun aaya gaya duniya mein kya khabar
Is duniya se tum joh rahe bekhabar
Kahin duniya tumhe na bhulaye
Yaaron sun lo zara haan apna yeh kehna
Jeena ho toh apun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla nahi na sahi na sahi
Bank balance nahi na sahi na sahi
TV video nahi na sahi na sahi
Suiting shirting nahi na sahi na sahi
Inki karlo kuch toh kadar
Yaaron thoda jaao sudhar
Kal ka kya hai kisne dekha
Hum toh aaj mein jeete hai
Jin mein himmat hai nahi woh
Aisi baatein karte hai
Iski toh tum baat na karna
Humko dada sab kehte hai
Arre sheron ke jaisa hai apna jigar
Ooncha hi raha hai sada apna sar
Sar se zyada oonchi rahe yeh nazar
Aasmaan phir toh sar ko jhukaye
Pyaron sun lo zara haan apna bhi kehna
Jeena ho toh apun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla agar ho toh kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
TV video agar hai toh kya hai maza
Dressing vressing se kuch aur hi thaath hai
Inki humko kyun ho fikar
Jee lo jaise mast kalandar
Yaaron sun lo zara haan apna yeh kehna
Jeena ho toh apun ke jaise hi jeena
Watch Video