Lyric4U
Woh Ladki Hai Kahan

Dil Chahta Hai

Watch Video
Lyrics
Jise dhoondhta hoon main har kahin
Joh kabhi mili muhje hain nahin
Mujhe jis ke pyar par ho yakeen
Woh ladki hai kahan
Jise sirf mujh se hi pyar
Joh yeh kehne ko bhi tayaar ho
Suno tum hi mere dildaar ho
Woh ladki hai kahan
Joh tumhare khwaabon mein hain basi
Woh haseen murti pyar ki
Milegi tumhe kabhi na kabhi
Zara dekho yahan wahan
Chalo dhoondhte hain hum tum kahin
Woh pari woh hoor woh naazneen
Jise dekho toh kaho tum wahi
Arre yeh toh hain yahan
Hey hey!
Jaane kyun khayal aaya mujhe
Ki woh ladki kahin tum toh nahin
Tum mein hain woh sari khoobiyan
Tha jin ko dhoondhta main har kahin
Tumhe dhoka lagta hai ho gaya
Mujhe hain samajh liya jaane kya
Na main hoon pari na main apsara
Karo tum na yeh ghumaan
Jise dhoondhta hoon main har kahin
Joh kabhi mili muhje hain nahin
Mujhe jis ke pyar par ho yakeen
Woh ladki hai kahan
Hey hey ... hey hey!
Hey hey ... hey hey!
Maan lo agar main yeh kahoon
Ke mere khwaabon mein tum hi to
Jaan lo mera armaan hai
Ki mera saath hi ab tum raho
Mujhe tum ne kya yeh samjha diya
Mera dil ko jaise dhadka diya
Mere tann badan ko pighla diya
Woh sunaye dastaan
Jise dhoondhta hoon main har kahin
Joh kabhi mili muhje hain nahin
Mujhe jis ke pyar par ho yakeen
Woh ladki hai kahan
Woh ladki hai yahan
Woh ladki hai kahan
Woh ladki hai yahan
Woh ladki hai kahan
Woh ladki hai yahan
Woh ladki hai kahan
Woh ladki hai yahan
Hey ... hey ... hey!
Hey hey ... hey hey!
Watch Video