Lyric4U
Us Kashti Ka Kya Hoga

Uttar Dakshin

Watch Video
Lyrics
Us kashti ka kya hoga
Jise maajhi chhod gaya
Patware todh gaya
Jise maajhi chhod gaya
Patware todh gaya
Us kashti ka kya hoga
Jise maajhi chhod gaya
Patware todh gaya
Des ko aate hai pardesi
Log bichadte hai, milte hai
Aate jaate hai yeh mausam
Baagh ujadte hai, khilte hai
Us gulshan ka kya hoga
Jise maali chhod gaya
Sab kaliyan todh gaya
Jise maali chhod gaya
Sab kaliyan todh gaya
Us kashti ka kya hoga
Mit jaati hai koi umang toh
Yaad kise phir woh aati hai
Kat jaati hai koi patang toh
Bas dharti pe gir jaati hai
Us birhan ka kya hoga
Jise sajan chhod gaya
Sab vaade todh gaya
Jise sajan chhod gaya
Sab vaade todh gaya
Us kashti ka kya hoga
Bhoole se bhi naam na lena
In kasmon ka, in vaadon ka
Maine dekha hai kitno ko
Maatam karte in yaadon ka
Un logon ka kya hoga
Jinhe koi chhod gaya
Sab rishte todh gaya
Jinhe koi chhod gaya
Sab rishte todh gaya
Us kashti ka kya hoga
Jise maajhi chhod gaya
Patware todh gaya
Jise maajhi chhod gaya
Patware todh gaya
Us kashti ka kya hoga
Watch Video