Tune O Rangeele
Kudrat (1981)
Lyrics
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwala jiya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwala jiya
Baahon mein chupake yeh kya kiya, o re piya o
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwala jiya
Paas bulake gale se lagake tune toh badal dali duniya
Naye hai nazare naye hai ishare rahi na woh kal wali duniya
Paas bulake gale se lagake tune toh badal dali duniya
Naye hai nazare naye hai ishare rahi na woh kal wali duniya
Sapne dikhake yeh kya kiya, o re piya o
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwala jiya
O mere sajan kaisi yeh dhadkan shor machane lagi mann mein
Jaise leharaye nadiya ka pani lehar uthe re mere tann mein
O mere sajan kaisi yeh dhadkan shor machane lagi mann mein
Jaise leharaye nadiya ka pani lehar uthe re mere tann mein
Mujh mein samake yeh kya kiya, o re piya o
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwala jiya
Baahon mein chupake yeh kya kiya, o re piya o
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwala jiya
Watch Video