Lyric4U
Tum Bhi Ho Wahi

Kites

Watch Video
Lyrics
Tum bhi ho wahi, hum bhi hai wahi
Baat phir yeh kyun ab lagti hai nayi
Kya hua galat aur kya sahi
Dono saath hai sach toh hai yehi
Yaadein bahut si reh gayi peeche kahin
Yeh pyar ab aage humein kheenche kahin
Ke door tak bechain hai sab raaste
Is haal mein tu muskara mere vaaste
Tum bhi ho wahi, hum bhi hai wahi
Baat phir yeh kyun ab lagti hai nayi
Kya hua galat aur kya sahi
Dono saath hai sach toh hai yehi
Ab din dale chahe jahan ab shaam ho
Parwah kya ab chahe joh anjaam ho
Ho aasmaan ho ya zameen
Humne likha pyar ko har kahin
Sheeshe ka hai har ek pal
Is mein chupa hai apna kal
Toote na yeh sambhalo isse
Sheeshe ka hai har ek pal
Is mein chupa hai apna kal
Toote na yeh sambhalo isse
Tum bhi ho wahi, hum bhi hai wahi
Baat phir yeh kyun ab lagti hai nayi
Kya hua galat aur kya sahi
Dono saath hai sach toh hai yehi
Watch Video