Lyric4U
Tum Agar Saath Dene Ka Waada Karo

Hamraaz

Watch Video
Lyrics
Tum agar saath dene ka waada karo
Main yun hi mast nagme lutata rahun
Tum mujhe dekh kar muskurati raho
Main tumhe dekh kar geet gaata rahun
Tum agar saath dene ka waada karo
Main yun hi mast nagme lutata rahun
Kitne jalwe fizaon mein bikhre magar
Maine ab tak kisi ko pukaara nahi
Tumko dekha toh nazarein yeh kehne lagi
Humko chehre se hatna ganwara nahi
Tum agar meri nazaron ke aage raho
Main har ek shay se nazarein churata rahun
Tum agar saath dene ka waada karo
Main yun hi mast nagme lutata rahun
Maine khwaabon mein barason tarasha jise
Tum wahi sang-e-marmar ki tasveer ho
Tum na samajho tumhara muqaddar hun main
Main samajhta hun tum meri taqdeer ho
Tum agar mujhko apna samajhne lago
Main bahaaron ki mehfil sajata rahun
Tum agar saath dene ka waada karo
Main yun hi mast nagme lutata rahun
Main akela bahut der chalta raha
Ab safar zindagani ka kat'ta nahi
Jab talak koi rangeen sahara na ho
Waqt kafir jawani ka kat'ta nahi
Tum agar humkadam banke chalti raho
Main zameen par sitaare bichata rahun
Tum agar saath dene ka waada karo
Main yun hi mast nagme lutata rahun
Tum mujhe dekh kar muskurati raho
Main tumhe dekh kar geet gaata rahun
Watch Video