Lyric4U
Tu Hai Solah Satrah Saal Ki

Jeena Sirf Merre Liye

Watch Video
Lyrics
Sweetheart!
O tu hai solah satrah saal ki
Par ladki hai kamaal ki
Tujhpe yeh dil aa gaya, haaye
Tujhpe yeh dil aa gaya
O tu hai satrah atrah saal ka
Par ladka hai kamaal ka
Mere dil pe tu chha gaya, haaye
Mere dil pe tu chha gaya
Teri madhosh yeh aankhen, teri mastani ada
Dekhte hi sanam tujhko ho gaya tujhpe fida
Teri deewaangi dekhi toh main bhi khone lagi
Mere mehboob jaaneman teri main hone lagi
Kya hai rangat gore gaal ki
Par ladki hai kamaal ki
Tujhpe yeh dil aa gaya, haaye
Tujhpe yeh dil aa gaya
O tu hai satrah atrah saal ka
Par ladka hai kamaal ka
Mere dil pe tu chha gaya, haaye
Mere dil pe tu chha gaya
Tere jaisa kahin koi nahi hoga zamaane mein
Tera hi naam aayega mere har ek fasaane mein
Meri yaadon ki angdaai, mere khwaabon ki kali
Churake chain chori se kahan lehrake chali
Tu deewaana meri chaal ka
Par ladka hai kamaal ka
Mere dil pe tu chha gaya, haaye
Mere dil pe tu chha gaya
Tu hai solah satrah saal ki
Par ladki hai kamaal ki
Tujhpe yeh dil aa gaya, haaye
Tujhpe yeh dil aa gaya
Watch Video