Lyric4U
Tu Ganga Ki Mauj

Baiju Bawra

Watch Video
Lyrics
Akeli mat jaiyo Radhe Jamuna ke teer
Tu Ganga ki mauj main Jamuna ka dhara
Tu Ganga ki mauj main Jamuna ka dhara
Ho rahega milan yeh hamara
Ho humara tumhara rahega milan, yeh hamara tumhara
Agar tu hai sagar toh majhdhar main hoon, majhdhar main hoon
Tere dil ki kashti ka patwar main hoon, patwar main hoon
Chalegi akele na tumse yeh naiyya, na tumse yeh naiyya
Milegi na manzil tumhe bin khiwayya, tumhe bin khiwayya
Chale aao ji, chale aao ji
Chale aao maujon ka lekar sahara
Ho rahega milan yeh hamara tumhara
Bhala kaise tootenge bandhan yeh dil ke, bandhan yeh dil ke
Bichadti nahi mauj se mauj milke, ho mauj milke
Chupoge bhanwar mein toh chupne na denge, toh chupne na denge
Dubo denge naiyya tumhe dhoondh lenge, tumhe dhoondh lenge
Banayenge hum, banayenge hum
Banayenge toofan ko ek din kinara
Ho rahega milan yeh hamara tumhara
Tu Ganga ki mauj main Jamuna ka dhara
Tu Ganga ki mauj main Jamuna ka dhara
Ho rahega milan yeh hamara
Ho humara tumhara rahega milan, yeh hamara tumhara
Tu Ganga ki mauj main Jamuna ka dhara
Ho rahega milan yeh hamara
Ho humara tumhara rahega milan, yeh hamara tumhara
Tu Ganga ki mauj main Jamuna ka dhara
Tu Ganga ki mauj main Jamuna ka dhara
Ho rahega milan yeh hamara tumhara
Watch Video