Tu Fiza Hai
Fiza
Lyrics
Fiza ... fiza ... fiza ... hey fiza
Tu hawa hai fiza hai zameen ki nahi
Tu ghata hai toh phir kyun barasti nahi
Udti rehti hai tu panchiyon ki tarah
Aa mere aashiyane mein aa
Tu hawa hai fiza hai zameen ki nahi
Tu ghata hai toh phir kyun barasti nahi
Udti rehti hai tu panchiyon ki tarah
Aa mere aashiyane mein aa
Main hawa hoon kahin bhi theherti nahi
Ruk bhi jaaun kahin par toh rehti nahi
Maine tinke uthaye hue hai paron par
Aashiyana nahi hai mera
Ghane ek pedh se mujhe jhonka koi leke aaya hai
Sookhe ek patte ki tarah hawa ne har taraf udaya hai
Aa na aa, hey aa na aa ek dafa is zameen se uthe
Paaon rakhe hawa par, zara sa ude
Chal chale hum jahan koi rasta na ho
Koi rehta na ho, koi basta na ho
Kehte hai aankhon mein milti hai aisi jagah
Fiza ... fiza
Main hawa hoon kahin bhi theherti nahi
Ruk bhi jaaun kahin par toh rehti nahi
Maine tinke uthaye hue hai paron par
Aashiyana nahi hai mera
Tum mile toh kyun laga mujhe khud se mulaqat ho gayi
Kuch bhi toh kaha nahi magar zindagi se baat ho gayi
Aa na aa, hey aa na aa saat baithe zara der toh
Haath thaame rahe aur kuch na kahe
Chhuke dekhe toh aankhon ki khamoshiyan
Kitni chup chaap hoti hai sargoshiyan
Sunte hai aankhon mein hoti hai aisi sada
Fiza ... fiza
Tu hawa hai fiza hai zameen ki nahi
Tu ghata hai toh phir kyun barasti nahi
Udti rehti hai tu panchiyon ki tarah
Aa mere aashiyane mein aa
Main hawa hoon kahin bhi theherti nahi
Ruk bhi jaaun kahin par toh rehti nahi
Maine tinke uthaye hue hai paron par
Aashiyana nahi hai mera
Watch Video