Lyric4U
Tu Bole Main Boloon

Jaane Tu Ya Jaane Na

Watch Video
Lyrics
Tu bole glass adha khaali
Main boloon adha bhara
Main boloon kitna sara
Tu bole zara zara
Main boloon din hai toh
Tu bole raat nahi
Baat toh wahi hai na
Bas wahi baat nahi
Baat toh hai bas yahi ke
Meri baat bas
Jaane tu ... jaane tu ya jaane na
Maane tu ... maane tu ya maane na
Jaane tu ... jaane tu ya jaane na
Maane tu ... maane tu ya maane na
Tu soche yeh zindagi hai
Yeh na badlegi kabhi
Main sochoon sab badalta hai
Tu na badlegi kabhi
Main sochoon tu hi tu
Mera koi aur nahi
Tu soche main hoon tera
Bas tera koi aur nahi
Koi aur ho ya na ho
Tu hai main hoon bas
Jaane tu ... jaane tu ya jaane na
Maane tu ... maane tu ya maane na
Jaane tu ... jaane tu ya jaane na
Maane tu ... maane tu ya maane na
Watch Video