Lyric4U
Toote Huye Khwaabon Ne

Madhumati

Watch Video
Lyrics
Toote huye khwaabon ne humko yeh sikhaya hai
Dil ne, dil ne jise paaya tha aankhon ne gavaya hai

Toote huye khwaabon ne
Hum dhoondhte hai unko joh milke nahi milte

Roothe hai na jaane kyun mehmaan woh mere dil ke
Mehmaan woh mere dil ke
Kya apni tamanna thi, kya saamne aaya hai
Dil ne, dil ne jise paaya tha aankhon ne gavaya hai
Toote huye khwaabon ne humko yeh sikhaya hai
Dil ne, dil ne jise paaya tha aankhon ne gavaya hai
Toote huye khwaabon ne
Laut aayi sadaa meri takra ke sitaaron se

Ujhdi huyi duniya ke sunsaan kinaaro se
Sunsaan kinaaro se
Par ab yeh tadapna bhi kuch kaam na aaya hai