Lyric4U
Teri Marzi Aye Khuda

Paathshaala

Watch Video
Lyrics
O aye khuda
Teri marzi ke aage kya hoga hai pata
Tu joh chahe waisa samaan ho teri raza
Tu joh chahe tapti dhoop mein aye khuda
Khilta hua gulistan hoga
Tune banayi raahein
Tune banayi manzil
Hum le chale hai apna caravan
Aye khuda
Teri marzi ke aage kya hoga hai pata
Aye khuda
Tehni tehni se dekho toota hai har patta
Bikhra hua pada hai aaj yeh gulistan
Jhilmilata yahan, muskurata yahan
Tha khushi se kabhi yeh aashiyan
Rehbar ho tum hamare phir kaisa diya farmaan
Farishtey bhi ruswa honge dekh ke yeh anjaam
Yeh na chahe koi, ab bata de tu hi
Kehkar apna tu kyun banta anjaan
Aye khuda
Teri marzi ke aage kya hoga hai pata
Tu joh chahe waisa samaan ho teri raza
Tu joh chahe tapti dhoop mein aye khuda
Khilta hua gulistan hoga
Tune banayi raahein
Tune banayi manzil
Hum le chale hai apna caravan
Watch Video