Tere Sang Yaara
Rustom
Lyrics
Tere sang yaara
Khush rang bahara
Tu raat deewani
Main zard sitara
O karam khudaya hai
Tujhe mujhse milaya hai
Tujhpe marke hi toh
Mujhe jeena aaya hai
O tere sang yaara
Khush rang bahara
Tu raat deewani
Main zard sitara
O tere sang yaara
Khush rang bahara
Main tera ho jaaun
Joh tu karde ishara
Kahin kisi bhi gali mein jaaun main
Teri khushboo se takraun main
Har raat joh aata hai mujhe woh khwaab tu
Tera mera milna dastoor hai
Tere hone se mujh mein noor hai
Main hoon soona sa ek aasmaan mehtaab tu
O karam khudaya hai
Tujhe maine joh paaya hai
Tujhpe marke hi toh
Mujhe jeena aaya hai
O tere sang yaara
Khush rang bahara
Tu raat deewani
Main zard sitara
O tere sang yaara
Khush rang bahara
Tere bin ab toh
Na jeena ganvara
Maine chhode hai baki saare raste
Bas aaya hoon tere paas re
Meri aankhon mein tera naam hai pehchaan le
Sab kuch mere liye tere baad hai
Sau baaton ki ik baat hai
Main na jaunga kabhi tujhe chhod ke yeh jaan le
O karam khudaya hai
Tera pyar joh paaya hai
Tujhpe marke hi toh
Mujhe jeena aaya hai
O tere sang yaara
Khush rang bahara
Tu raat deewani
Main zard sitara
O tere sang yaara
Khush rang bahara
Main behta musafir
Tu tehra kinara
Watch Video