Tere Ishk Mein
Tere Ishk Mein
Lyrics
Tere ishk mein kya se kya bana
Tere ishk mein ho raha fanaa
Ishk na koi bhi meri tarah kare
Koyla jala ke zubaan pe na dhare
Khel tootne ka kamaal hai magar
Toot ke mohabbatein kisi se na kare
Zinda dil kahan bache hai ishk wale ab mere sivah
Tere ishk mein khel ho gaya
Mere ishk mein main hi kho gaya
Khamoshi mein tera jawaab ho gaya
Mera itni der mein hisaab ho gaya
Main badal gaya hoon bataun kya hua
Khoon mera ishk mein sharaab ho gaya
Zinda dil kahan bache hai ishk wale ab mere sivah
Tere ishk mein na main beqasoor
Mere ishk mein tu bhi maaf na
Tere ishk mein kya se kya bana
Tere ishk mein ho raha fanaa
Watch Video