Sunoji Dulhan
Hum Saath Saath Hain
Lyrics
Sunoji dulhan ek baat sunoji
Apne naye parivar se miloji
Tumhe milayein sabse aaj
Suno sunayein sabke raaz
Haaye tumhe milayein sabse aaj
Suno sunayein sabke raaz
Pehle dulhan tum inse miloji
Ghar ke mukhiya tumhare sasurji
Jinke sar pe sukhon ka taj
Dekho zara inka andaz
Hai jinke sar pe sukhon ka taj
Dekho zara inka andaz
Rampur ka baasi hoon main, Ramkishan hai naam
Seedhi saadhi boli meri, seedha saadha kaam
Ho joh bhi chaha maine
Ho rab se woh paaya maine
Ho Rampur ka baasi hoon main, Ramkishan hai naam
Des vides ghoomkar aaya main bhai
Ho mehak gaon ki mitti ki na bisrai
Wahi gudh chana doodh nashte mein bhaye
Ho chhuri aur kaante se khana na aaye
Itne par bhi ho
Itne par bhi hai nayi techniqueko ko pyar se seekha maine
Rampur ka baasi hoon main, Ramkishan hai naam
Seedhi saadhi boli meri, seedha saadha kaam
Aao dulhan ab inse miloji
Yeh hai tumhari sasu maji
Ghar mein chalta inka raj
Inka khaas hai ek andaz
Hai ghar mein chalta inka raj
Inka khaas hai ek andaz
Mera naam mu-mu-mu, mu-mu-mu, aa ha mu-mu-mu
Teen titliyan meri yaar
Mujhe partiyon se hai pyar
Wah wah, wah wah
Wah wah, wah wah
Shopping ho ya sabzi mandi
Mol bhaav ki pakki hoon
Ek rupaiya keemat ho toh
Ek rupaiya hi main doon
Lamba mera fasana hai
Par beauty parlour jaana hai
Lamba mera fasana hai
Par beauty parlour jaana hai
Mera naam mu-mu-mu, mu-mu-mu, aa ha mu-mu-mu
Pyara mujhe saaj singaar
Umra ko goli maaro yaar
Wah wah, wah wah
Wah wah, wah wah
Chalo dulhan ab aage badhoji
Apne nanand nandoi se miloji
Biwi ko yeh na kare naraaz
Aashiqana hai andaz
Haan biwi ko yeh na kare naraaz
Aashiqana hai andaz
Radhika ke daddy zara aana
Darling hukum farmana
Kaisi hai yeh saree batana
Darling fida hai yeh deewana
Mera sar hai dukhta
Chalo main dabba doon
Hai khana pakana
Kaho main paka doon
Kahin ghoom aayein
Jahan bhi kaho tum
Dinner lenge bahar
Fikar na karo tum
Baad mein ice cream bhi khilana
Darling joh chaho so mangana
Meetha paan Calcutta khilana
Darling zara sa muskurana
Zara mera purse toh uthana
Darling tumhara hai zamana
Darling tumhara hai zamana
Sunoji dulhan ab sambhal jaoji
Chhote natkhat devar se miloji
Bada rangeela inka mizaaj
Shaitani inka andaz
Hai bada rangeela inka mizaaj
Shaitani inka andaz
Papa kehte hai bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Sach sare sapne, papa ke apne
Karne chala main naujawan
Bholi soorat dil ke khote
Baatein badi hai kaam hai chhote, kaam hai chhote
Aath baje tak joh sote
Bade kahan log aise hote
Jinki nazar mein ho koi sapna
Raha na unko hosh apna, hosh apna
Chit bhi hai inki, patt bhi hai inki
Bin pendi ke yeh lote
Baatein badi hai kaam hai chhote, kaam hai chhote
Bholi soorat dil ke khote
Husn ke nakhre mote mote, mote mote
Sunoji dulhan ab gaur karoji
Apne bade devar se miloji
Maa ke dil ke yeh sartaj
Sharmila jinka andaz
Maa ke dil ke yeh sartaj
Sharmila jinka andaz
Akhiyan milaye nahi, haaye batiyan nahi
Banke rahe sadhu
Akhiyan milaye nahi, haaye batiyan nahi
Banke rahe sadhu
Kisi chehre ke kitaab ka roz revision hai chalu
Preeti ke path mein hai Prem babu
Chupe rustam hai yeh Prem babu
Aise kya bane padhaiya
Padhke dekhoji saiyan
Prem ke dhai akshar ho
Jab tak tum rahe bidesi
Meri haalat thi aisi
Jal bin jaise machhariya ho
Mera piya ghar aaya o Ramji
Mera piya ghar aaya o Ramji
Puri ho na ho padhai o papaji
Kar do inki bhi sagai o mummyji
Pyari dulhan ab dil thamoji
Kyun ke hai baari saiyanji ki
Itna sa hai inka raaz
Sabse alag inka andaz
Haan itna sa hai inka raaz
Sabse alag inka andaz
Khuli kitaab ke jaisi hai shaksiyat inki
Kaun hai ghar mein aisa jisko inpe naaz nahi
Suno dulhan batayein raaz tumko hum inka
Yeh aaina hai jiske dil mein koi raaz nahi
Chanda mama se bhi pyare hai yeh hamare mama
Chanda mama se bhi pyare hai yeh hamare mama
Mamiji ke aa jaane se humko bhool na jaana
Pyare pyare mamaji
Jahaan se nyare mamaji
Pyare pyare mamaji
Jahaan se nyare mamaji
(Sargam)
Watch Video