Sun Sahiba Sun
Ram Teri Ganga Maili
Lyrics
Sun sahiba sun pyar ki dhun
Sun sahiba sun pyar ki dhun
O maine tujhe chun liya
Tu bhi mujhe chun chun chun
Sun sun sahiba sun pyar ki dhun
O maine tujhe chun liya
Tu bhi mujhe chun
Sun sahiba sun pyar ki dhun
Koi haseena kadam pehle badhati nahi
Majboor dil se na ho toh paas aati nahi
O majboor dil se na ho toh paas aati nahi
Khushi mere dil ko hadh se zyada hai
Tere sang zindagi bitaane ka irada hai
O preet ke yeh dhaage tu bhi sang mere bhun
Sun sahiba sun sun sun pyar ki dhun
O maine tujhe chun liya
Tu bhi mujhe chun chun chun
Sun sun sahiba sun pyar ki dhun
Tu joh haan kahe toh ban jaaye baat bhi
Ho tera ishara toh chal doon main saath bhi
Ho tera ishara toh chal doon main saath bhi
Tere liye sahiba naachungi main gaaungi
Dil mein basa le, tera ghar bhi basaungi
O daal de nigaah, kar de pyar ka shagun
Sun sahiba sun pyar ki dhun
Mera hi khoon-e-jigar dega gawahi meri
Tere hi haathon likhi shayad tabaahi meri
O tere hi haathon likhi shayad tabaahi meri
Dil tujhpe waara hai, jaan tujhpe waarungi
Aaye ke na aaye tera rasta nihaarungi
O kar le qubool mujhe hoga bada pun
Sun sahiba sun sun sun pyar ki dhun
O maine tujhe chun liya
Tu bhi mujhe chun chun chun
Sun sun sahiba sun pyar ki dhun
O sahiba sahiba
O sahiba sahiba
O maine tujhe chun liya
Tu bhi mujhe chun
Sun sahiba sun
Watch Video