Lyric4U
So Jaa Chanda

Mission Kashmir

Watch Video
Lyrics
So jaa chanda raja so jaa chal sapno mein chal
Neend ki pariyan pehanke aayi pairon mein payal
Tujhko apne naram paron par lekar jayegi
Sone ka ik des hai jiski sair karayegi
Dharti se kuch door kahin saat samundar paar
Aakaashon ke beech hai sapno ka sansaar
Woh zameen hai pyar ki, wahan sirf pyar hai
Mere chand jaa wahan tera intezaar hai
So jaa chanda raja so jaa chal sapno mein chal
Neend ki pariyan pehanke aayi pairon mein payal
Jin pariyon ke husn par jannat ho qurbaan
Un pariyon ke des mein hoga tu mehmaan
Hai nayi kahaniyan joh tujhe sunayegi
Tere saath nachegi, tere saath gayegi
So jaa chanda raja so jaa chal sapno mein chal
Neend ki pariyan pehanke aayi pairon mein payal
Tujhko apne naram paron par lekar jayegi
Sone ka ik des hai jiski sair karayegi
Watch Video