Sharm Aati Hai Magar
Padosan
Lyrics
Sharm aati hai magar aaj yeh kehna hoga
Sharm aati hai magar aaj yeh kehna hoga
Ab humein aapke kadmo hi mein rehna hoga
Sharm aati hai magar
Aapse ruthke hum jitna jeeye khaakh jeeye
Aapse ruthke hum jitna jeeye khaakh jeeye
Kayi ilzaam liye aur kayi ilzaam diye
Aaj ke baad magar kuch bhi na kehna hoga
Ab humein aapke kadmo hi mein rehna hoga
Sharm aati hai hmm hmm
Der ke baad yeh samjhe hai mohabbat kya hai
Ab humein chaand ke jhumar ki zaroorat kya hai
Pyar se badhke bhala aur kya gehna hoga
Ab humein aapke kadmo hi mein rehna hoga
Sharm aati hai magar aaj yeh kehna hoga
Aapke pyar ka bimaar hamara dil hai
Aapke pyar ka bimaar hamara dil hai
Aapke gham ka khareedar hamara dil hai
Aapko apna koi dard na sehna hogha
Ab humein aapke kadmo hi mein rehna hoga
Sharm aati hai magar aaj yeh kehna hoga
Sharm aati hai hmm hmm
Watch Video