Lyric4U
Shaam Shaandaar

Shaandaar

Watch Video
Lyrics
Sar jhuka ke kar salaam hai shaam shaandaar
Aasmaan se aa giri hai shaam shaandaar
Chak de andhera
Chaand jala de bulb bana ke
Fikr na kariyo
Karna bhi kya hai bijli bacha ke
Sar-e-aam pila khushi ke jaam shaandaar
Aasmaan se aa giri yeh shaam shaandaar
Jazbaat ke chillar ko note bana ke
Mehndi raat pe khulke luta
Chingariyon ko visphot bana ke
Aiyyashi ke tu rocket chhuda
Kaisa darr tu kar guzar yeh kaam shaandaar
Aasmaan se aa giri yeh shaam shaandaar
Yeh shaam shaandaar
Yeh shaam shaandaar
Watch Video