Lyric4U
Shaam Hai Dhuaan Dhuaan

Diljale

Watch Video
Lyrics
Shaam hai dhuaan dhuaan
Shaam hai dhuaan dhuaan
O shaam hai dhuaan dhuaan
Jism ka ruwaan ruwaan
Uljhi uljhi saanson se
Behke behki dhadkan se
Keh raha hai aarzu ki dastaan
O shaam hai dhuaan dhuaan
Shaam hai dhuaan dhuaan
Aarzu jhoot hai, kahani hai
Aarzu ka fareb khana nahi
Khush joh rehna ho zindagi mein tumhe
Dil kisi se kabhi lagana nahi
Mere dil pe joh likha hai
Woh tumhara naam hai
Meri har nazar mein jaana
Tumko salaam hai
Mujhko tumse pyar hai
Mujhko tumse pyar hai
Mujhko tumse pyar hai
Pyar hai, pyar hai
Goonjte hai mere pyar se
Yeh zameen aasmaan
O shaam hai dhuaan dhuaan
Haaye, shaam hai dhuaan dhuaan
Kyun banati ho tum ret ke yeh mahal
Jinko ek roz khud hi mitaogi tum
Aaj kehti ho is diljale se pyar hai tumhe
Kal mera naam tak bhool jaaogi tum
Tumhe kyun yakeen nahi hai
Ke main pyar mein hoon gum
O mere khwaabon mein tum hi ho
Mere dil mein tum hi tum
Mujhko tumse pyar hai
Mujhko tumse pyar hai
Mujhko tumse pyar hai
Haan pyar hai, hmm pyar hai
Pyar mein nisaar ho gaye
Mere jism aur jaan
Shaam hai dhuaan dhuaan
Jism ka ruwaan ruwaan
Uljhi uljhi saanson se
Behke behki dhadkan se
Keh raha hai aarzu ki dastaan
Ek pal mein joh aakar guzar jaata hai
Yeh hawa ka woh jhonka hai aur kuch nahi
Pyar kehti hai yeh saari duniya jisse
Ek rangeen dhoka hai aur kuch nahi
Watch Video