Safar
Jab Harry Met Sejal
Lyrics
Ab na mujhko yaad beeta
Main toh lamho mein jeeta
Chala ja raha hoon
Main kahan pe ja raha hoon, kahan hoon
Is yakeen se main yahan hoon
Ki zamana yeh bhala hai
Aur joh raah mein mila hai
Thodi door joh chala hai
Woh bhi aadmi bhala tha, pata tha
Zara bas khafa tha
Woh bhatka sa raahi mere gaanv ka hi
Woh rasta purana jise yaad aana
Zaroori tha lekin joh roya mere bin
Woh ek mera ghar tha
Purana sa darr tha
Magar ab na main apne ghar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Main raha ... main raha ... main raha
Meel pattharon se meri dosti hai
Chaal meri kya hai raah jaanti hai
Jaane rozana, zamana wohi rozana
Shehar shehar fursaton ko bechta hoon
Khaali haath jaata khaali laut'ta hoon
Aise rozana, rozana khud se begana
Jab se gaanv se main shehar hua
Itna kadva ho gaya ki zehar hua, main toh rozana
Na chaha tha yeh ho jaana maine
Yeh umrr, waqt, raasta guzarta raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Idhar ka hi hoon na udhar ka raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Main raha ... main raha
Main raha ... main raha
Main raha ... main raha
Main raha ... main raha
Safar ka hi tha main safar ka raha
Watch Video