Saathiya Tune Kya Kiya
Love
Lyrics
Saathiya tune kya kiya
Beliya yeh tune kya kiya
Maine kiya tera intezar
Itna karo na mujhe pyar
Itna karo na mujhe pyar
Saathiya tune kya kaha
Beliya yeh tune kya kaha
Yoon na kabhi karna intezar
Maine kiya hai tumse pyar
Maine kiya hai tumse pyar
Saathiya tune kya kiya
Beliya yeh tune kya kiya
Itni mohabbat seh na sakunga
Sach maano zinda reh na sakunga
Tujhko sambhalon yeh mera zimma
Main hoon toh kya gham, jaan-e-tamanna
Ab jeena marna mera janam tere haath hai
Maine kaha na sanam ab tu mere saath hai
Toh phir sambhal ... la la la
Ke main chala ... la la la
Jaana kahan ... la la la
Aa dil mein aa ... la la la
Saathiya tune kya kiya
Beliya yeh tune kya kiya
Dil ke chaman ka hasna toh dekho
Jaagi nazar ka sapna toh dekho
Aise huye hum ek jaan ek dil
Tu hai ke main hoon kehna hai mushkil
Jhonka basanti hai tu, tann hai gulabi mera
Do rang milne ke baad hote nahi hai juda
Toh phir sambhal ... la la la
Dil yeh chala ... la la la
Jaana kahan ... la la la
Aa dil mein aa ... la la la
Saathiya tune kya kaha
Beliya yeh tune kya kaha
Yoon na kabhi karna intezar
Maine kiya hai tumse pyar
Maine kiya hai tumse pyar
Itna karo na mujhe pyar
Itna karo na mujhe pyar
Watch Video