Lyric4U
Saale Sapne

Padman

Watch Video
Lyrics
Saale sapne ... O saale sapne
Ude ude baadal ka ik tukda kaise main todhun
Doobe doobe dariya ka ik kona kaise nichodun
Kaise batao na raat din kaatu main dhoop ki doriyan
Bandhun main chaaon ki boriyan jaanu na na na na
O saale sapne main tere sadke
Bas gaya hai tu meri nas mein
Ab jahan tu, aa raha hoon main wahan
O saale sapne main tere sadke
Ho gaya hoon main tere bas mein
Ab jahan tu, aa raha hoon main wahan
Haan maine chand ko churake
Maine loriyan sunake
Maine khud ko tha sulaya soja, soja, soja
Par tune battiyan jala di
Tune dhajjiyan uda di
Tune neend se uthaya abbe saale sapne
Ab toh jagunga main raat din
Hosh uda dunga main tera
Peecha na chhodunga main tera, chhodunga na na na
O saale sapne main tere sadke
Bas gaya hai tu meri nas mein
Ab jahan tu, aa raha hoon main wahan
O saale sapne main tere sadke
Ho gaya hoon main tere bas mein
Ab jahan tu, aa raha hoon main wahan
Tu bhi hai bada kameena
Main bhi kam nahi deewana
Dono ka hai ek gaana, ae hey, oh ho, aa ha
Aaja chhod de bagawat
Aaja odh le mohabbat
Aaja tujhse kya chupana abbe saale sapne
Mujhko bhi latt hai teri
Tujhko bhi chaska mera
Ek hi rasta tera mera, aao na na na na
O saale sapne tu mere sadke
Bas gaya hoon main teri nas mein
Ab jahan tu, aa gaya hoon main wahan
O saale sapne main tere sadke
Ho gaya hai tu tere bas mein
Ab jahan tu, aa gaya hoon main wahan
Watch Video