Ruk Jaao Na Ji
Chalti Ka Naam Gaadi
Lyrics
Ruk jaao na ji, aisi kya jaldi
Chubh jayegi pehlu mein birha ki sui ... ui
Ruk jaao na ji, aisi kya jaldi
Chubh jayegi pehlu mein birha ki sui
Shaam dhali nahin aur chale tum uthke sanam
Yoon na chalo ithlake aji tumhe meri kasam
Shaam dhali nahin aur chale tum uthke sanam
Yoon na chalo ithlake aji tumhe meri kasam
Dekho balam yoon na dhaao sitam
Nazuk hoon main toh jaisi chhui mui
Ruk jaao na ji, aisi kya jaldi
Chubh jayegi pehlu mein birha ki sui
Haaye kehne ki baat padi hai zara mujhe kehne to do
Pyar bhare mere dil mein hai kya mujhe kehne to do
Kehne ki baat padi hai zara mujhe kehne to do
Pyar bhare mere dil mein hai kya mujhe kehne to do
Thehro piya hosh aale zara
Jab se tum aaye main hoon khoyi khoyi
Arre arre arre ruk jaao na ji, aisi kya jaldi
Chubh jayegi pehlu mein birha ki sui
Chahat ka badla hai yeh kya zara socho sanam
Marte hain hum nahin tumko pata zara socho sanam
Chahat ka badla hai yeh kya zara socho sanam
Marte hain hum nahin tumko pata zara socho sanam
Thehro zara dil na todo mera
Thukrane wale kya sochega koi
Aye haaye haaye ruk jaao na ji, aisi kya jaldi
Chubh jayegi pehlu mein birha ki sui
Ruk jaao na ji, aisi kya jaldi
Chubh jayegi pehlu mein birha ki sui
Watch Video