Lyric4U
Rishta Hai Mera

Chance Pe Dance

Watch Video
Lyrics
Aasmaan ... sitaron se
Chaya woh khumaar hai, main hoon lapata
Haan thoda sa qaraar hai, thoda hai nasha
Bheegi si hai ek khushboo
Khushboo mein hai ek jaadu
Jaadu se dil hua hai mera bekabu
Poori hui hai chahat
Chahat mein bhi hai raahat
Raahat se mehki justaju
Woh woh woh ... woh woh woh
Rishta hai mera aasmaano se
Baadalon se bhi milna hai abhi
Haath bhi milana hai sitaron se
Betaabi hai, bechaini hai
Behadh yeh dil bekarar, beintaahi hai
Haan taare, hawa, mausam, fiza, baadal, ghata
Sang hai ab gum na koi hai
Haan zarra zarra jhoome
Khushi kadamon ko choome
Pyare se hai yeh silsile
Woh woh woh ... woh woh woh
Rishta hai mera aasmaano se
Baadalon se bhi milna hai abhi
Haath bhi milana hai sitaron se
Hey yeah ... hey hey hey
Kaise kahan kab kya hua kuch na khabar na pata
Kismat ka hai yeh kaam
Mehmaan hoon manzil ka main
Dekhon jahan bhi likha hai bas mera hi naam
Marzi pal ab ki hai yeh
Khushi alag si hai yeh
Sab kuch hai bas mere liye
Woh woh woh ... woh woh woh
Rishta hai mera aasmaano se
Baadalon se bhi milna hai abhi
Haath bhi milana hai sitaron se
Aasmaano se, baadalon se
Milna hai sitaron se
Watch Video