Pyar Mein Kabhi Kabhi
Chalte Chalte (1976)
Lyrics
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Aaj sajna ka sajni se ho raha saamna
Sajna ka sajni se ho raha saamna
Khel hi khel mein dil gaya thaamna ... na na, haan haan, na na
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Kehne ki nahi baat magar yeh phir bhi kehti hoon main
Rehne ki nahi jagah koi tere dil mein rehti hoon main
Kehne ki nahi baat magar yeh phir bhi kehti hoon main
Rehne ki nahi jagah koi tere dil mein rehti hoon main
Jeet kar pyar mein padega harna ... na na, haan haan, na na
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Aaj sajna ka sajni se
Aaj sajni ka sajna se ho raha saamna
Khel hi khel mein dil gaya thaamna ... na na, haan haan, na na
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Nadaan samajh kar tumko dekho maaf kar diya humne
Pyar ki kitaab se judaai ka naam hi saaf kar diya humne
Nadaan samajh kar tumko dekho maaf kar diya humne
Pyar ki kitaab se judaai ka naam hi saaf kar diya humne
Yaar ki baat tum kabhi na taalna ... na na, haan haan, na na
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Aaj sajna ka sajni se
Aaj sajni ka sajna se ho raha saamna
Khel hi khel mein dil gaya thaamna ... haan haan, haan haan, haan
Pyar mein kabhi kabhi aisa ho jaata hai
Choti si baat ka fasana ban jaata hai
Watch Video