Pyar Kiya Toh Darna Kya
Mughal-E-Azam
Lyrics
Insaan kisi se duniya mein
Ek baar mohabbat karta hai
Is dard ko lekar jeeta hai
Is dard ko lekar marta hai
Pyar kiya toh darna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Pyar kiya koi chori nahi ki, pyar kiya
Pyar kiya koi chori nahi ki
Chup chup aahein bharna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Pyar kiya toh darna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Aaj kahenge dil ka fasana
Jaan bhi lele chahe zamana
Aaj kahenge dil ka fasana
Jaan bhi lele chahe zamana
Maut wohi joh duniya dekhe
Maut wohi joh duniya dekhe
Ghut ghutkar yoon marna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Pyar kiya toh darna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Unki tamanna dil mein rahegi
Shamma issi mehfil mein rahegi
Unki tamanna dil mein rahegi
Shamma issi mehfil mein rahegi
Ishq mein jeena, ishq mein marna
Ishq mein jeena, ishq mein marna
Aur humein ab karna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Pyar kiya toh darna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Chup na sakega ishq hamara
Chaaron taraf hai unka nazara
Chup na sakega ishq hamara
Chaaron taraf hai unka nazara
Parda nahi jab koi khuda se
Parda nahi jab koi khuda se
Bandhon se parda karna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Pyar kiya toh darna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Pyar kiya koi chori nahi ki
Chup chup aahein bharna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Jab pyar kiya toh darna kya
Watch Video