Pyar Ki Ek Kahani
Krrish
Lyrics
Aao sunaun pyar ki ek kahani
Ek tha ladka ek thi ladki deewani
Aao sunaun pyar ki ek kahani
Ek tha ladka ek thi ladki deewani
Woh bhi hasne lagi thi, yeh bhi hasne laga tha
Dono samjhe nahi the woh joh hone laga tha
Aao sunaun pyar ki ek kahani
Ek tha ladka ek thi ladki deewani
Joh bhi kehna na tha woh bhi kehne lage
Joh bhi sunna na tha woh bhi sunne lage
Joh bhi kehna na tha woh bhi kehne lage
Joh bhi sunna na tha woh bhi sunne lage
Aa rahi hai hasi mujhko is baat par
Kis tarah pyar mein dono khone lage, dono khone lage
Jaanne wali baatein thi anjani
Ek tha ladka ek thi ladki deewani
Woh bhi hasne lagi thi, yeh bhi hasne laga tha
Dono samjhe nahi the woh joh hone laga tha
Aao sunaun pyar ki ek kahani
Ek tha ladka ek thi ladki deewani
Koi tarsa na tha koi tadpa na tha
Woh mile is tarah dil bhi dhadka na tha
Koi tarsa na tha koi tadpa na tha
Woh mile is tarah dil bhi dhadka na tha
Hone wali magar baat ho hi gayi
Pyar ki raah mein zindagi kho gayi, zindagi kho gayi
Dil ne dil se aise ki manmaani
Ek tha ladka ek thi ladki deewani
Woh bhi hasne lagi thi, yeh bhi hasne laga tha
Dono samjhe nahi the woh joh hone laga tha
Aao sunaun pyar ki ek kahani
Ek tha ladka ek thi ladki deewani
Watch Video