Phoolon Ka Taaron Ka (II)
Hare Rama Hare Krishna
Lyrics
Phoolon ka taaron ka sabka kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taaron ka sabka kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taaron ka sabka kehna hai
Jab se meri aankhon se ho gayi tu door
Tab se saare jeevan ke sapne hai choor
Hey, jab se meri aankhon se ho gayi tu door
Tab se saare jeevan ke sapne hai choor
Aankhon mein neend na, mann mein chaina hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taaron ka sabka kehna hai
Dekho hum tum dono hai ik daali ke phool
Main na bhula tu kaise mujhko gayi bhool
Haan, dekho hum tum dono hai ik daali ke phool
Main na bhula tu kaise mujhko gayi bhool
Aa mere paas aa, keh jo kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taaron ka sabka kehna hai
Jeevan ke dukhon se yoon darte nahi hai
Aise bachke sach se guzarte nahi hai
Hey, jeevan ke dukhon se yoon darte nahi hai
Aise bachke sach se guzarte nahi hai
Sukh ki hai chaah toh dukh bhi sehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taaron ka sabka kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Hey la la la la la ... la la la la la
Ek hazaron mein meri behna hai
O la la la la la ... la la la la la
Watch Video