Pehli Baar
Dil Dhadakne Do
Lyrics
Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Sunlo yaar ki maine kya socha tha
Laga ke tumse hai milna tabaahi
Is dil ko hi samjhane maine kaha
Is raste na jaana kabhi raahi
Yeh tere liye hai hi nahi
Dil mera bol utha hone do ab joh bhi ho
Darna kya bhala bura hone do ab joh bhi ho
Kya dil ki sunli tumne
Kya raah chunli tumne
Haan dil ki sunli maine
Haan raah chunli maine
Pehli baar tumko maine jab dekha tha
Sunlo yaar o maine kya socha tha
Laga ki mashware sunte ho dil ke
Laga ke thode se ho tum deewane se
Karoge dil ki hi baatein phir milke
Aur hongi yeh baatein badi haseen
Dil mera bol utha hone do ab joh bhi ho
Darna kya bhala bura hone do ab joh bhi ho
Kya dil ki sunli tumne
Kya raah chunli tumne
Haan dil ki sunli maine
Haan raah chunli maine
Lehron mein jaise lehrein mile aise mil gayi dilo ki dhadkan
Chalte hi chalte raahon mein khoye khoye hai dono tann mann
Hum paas aaye toh kyun paas aaye
Socho toh baat hai zara si
Kuch tum bhi pyaase pyaase the kab se
Main bhi thi pyaasi pyaasi
Laga ke tumse hai milna tabaahi
Is dil ko hi samjhane maine kaha
Is raste na jaana kabhi raahi
Yeh tere liye hai hi nahi
Dil mera bol utha hone do ab joh bhi ho
Darna kya bhala bura hone do ab joh bhi ho
Kya dil ki sunli tumne
Kya raah chunli tumne
Haan dil ki sunli maine
Haan raah chunli maine
Pehli baar
Watch Video