Pashmina
Fitoor
Lyrics
Pashmina dhaagon ke sang
Koi aaj bunne khwaab aaise kaise
Waadi mein goonje kahin
Naye saaz, yeh rawaab aaise kaise
Pashmina dhaagon ke sang
Kaliyon ne badle abhi
Yeh mizaaj, ehsaas aaise kaise
Palkon ne khole abhi
Naye raaz, jazbaat aaise kaise
Pashmina dhaagon ke sang
Koi aaj bunne khwaab aaise kaise
Kachi hawa, kacha dhuaan ghul raha
Kacha sa dil lamhe naye chun raha
Kachi si dhoop, kachi dagar phisal rahi
Koi khada chupke se keh raha
Main saaya banoon
Tere peeche chaloon
Chalta rahoon
Pashmina dhaagon ke sang
Koi aaj bunne khwaab aaise kaise
Shabnam ke do qatre yoon hi tehal rahe
Shaakhon pe woh moti se khel rahe
Befikr se ik dooje mein ghul rahe
Jab ho juda khayalon mein mil rahe
Khayalon mein yoon
Yeh guftagoo
Chalti rahe
Waadi mein goonje kahin
Naye saaz, yeh rawaab aaise kaise
Aaise kaise ... aaise kaise
Aaise kaise ... aaise kaise
Watch Video