Lyric4U
Pankhida O Pankhida

Agneekaal

Watch Video
Lyrics
Pankhida o pankhida
Pankhida o pankhida
Pankhida tu motiyon ki la bahaar re
Pankhida tu motiyon ki la bahaar re
Mere meet ka main karunga singaar re
Mere meet ka main karunga singaar re
Pankhida tu sajna ki nazar utaar re
Pankhida tu sajna ki nazar utaar re
Jinke dil mein mere liye itna pyar re
Jinke dil mein mere liye itna pyar re
Pankhida o pankhida
Pankhida o pankhida
Meri aankhon mein teri hi surat rahe
Mere sajan sada tu salamat rahe
Dhadkane meri har pal dua yeh kare
Zindagi teri khushiyon ki jannat rahe
Meri preet meri wafa tere saath re
Meri preet meri wafa tere saath re
Kitna khoobsurat yeh aitbaar re
Kitna khoobsurat yeh aitbaar re
Pankhida o pankhida
Pankhida o pankhida
Ho jaake kaali ghatta ko churake le aa
Unki pyari si aankhon mein kajal laga
Unki zulfon mein chandan ki khushboo basa
Unke nazuk se haathon mein mehndi racha
Kangana laao, jhumka laao, bindiya laao re
Kangana laao, jhumka laao, bindiya laao re
Mere meet ka main karunga singaar re
Mere meet ka main karunga singaar re
Pankhida o pankhida
Pankhida o pankhida
Door ambar se koi sitara tu la
Unke maathe pe kismat ka tara saja
Unko har gham ki dhoop se jaake bacha
Unki lambi umar ho kar yeh dua
Kangana nahi, jhumka nahi, sajna laao re
Kangana nahi, jhumka nahi, sajna laao re
Jinke dil mein mere liye itna pyar re
Jinke dil mein mere liye itna pyar re
Pankhida tu motiyon ki la bahaar re
Pankhida tu sajna ki nazar tu utaar re
Mere meet ka main karunga singaar re
Jinke dil mein mere liye itna pyar re
Pankhida o pankhida
Pankhida o pankhida
Watch Video