Paisa Bolta Hai
Kala Bazaar
Lyrics
Than than ki suno jhankar
Yeh duniya hai kala bazaar
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Main gol hoon duniya gol
Main gol hoon duniya gol
Joh bolun khol doon sabki pol
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Dhan gora ho ya kala ho
Jag uska joh paisa wala ho
Ghaple se mile ya rishwat se
Banta hai muqaddar daulat se
Sacha hai yahan kangal
Toh beimaan hai malamal
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Bhagwan ke ghar bhi khot chale
Puja ke liye bhi note chale
Joh chahe karwalo dhan se
Har kaam bane donation se
Milta hai us hi ko vote
Dikhaye joh voter ko note
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Paiso pe agar main marta hoon
Batlao bura kya karta hoon
Jab bajti hai shehnai dhan ki
Tab uthti hai doli dulhan ki
Main gangu teli ko doon raj
Main gangu teli ko doon raj
Gadhon ke sar pe rakh doon taj
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Than than ki suno jhankar
Yeh duniya hai kala bazaar
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai
Watch Video