Paigaam
Lakeer
Lyrics
Paigaam laya saawan
Daaman se bandh jaaye daaman
Rimjhim khushiyon ki barse hum pe barkha
Chanchal hawa yeh boli
Sajni thi teri doli
Doli phir dole jaise dole chanda
Ji karta hai pankh lagake udh jaaun main
Neele gagan ko baadal banke chhu jaaun main

Barkha pavan yeh boondein
Sabne uda di neendein
Jaagi aankhon mein meri jaaga sapna
Manwa mera bhi dole
Haule haule yeh bole
Begaani duniya mein hai tu hi apna

Neele gagan ke baadal tujh mein chup jaaun main

Sagar kinare kisi parbat ke saaye mein
Dikhta hai ek aashiyan
Hai jaan jab tak main rahoon tere dil mein hi
Wahin hai mera aashiyan
Masoom hai baatein aisi
Phoolon pe ho shabnam jaisi
Main khil sa gaya, mehak utha jag saara
Ji karta hai pankh lagake udh jaaun main
Neele gagan ke baadal tujh mein chup jaaun main
Ji karta hai pankh lagake udh jaaun main
Paigaam laya saawan
Daaman se bandh jaaye daaman
Rimjhim khushiyon ki barse hum pe barkha
Manwa mera bhi dole
Haule haule yeh bole
Begaani duniya mein hai tu hi apna
Shaakhon pe jhula jhule nayi naveli yeh kaliyan
Teri baahon mein jhule hum
Chahat ka mausam aaya, tanhaai sang laaya
Madhosh hai aaj hum
Madhoshi ab na toote
Daaman yeh tera na chhute
Hai sang tera rang tera mera kya
Ji karta hai pankh lagake udh jaaun main
Neele gagan ko baadal banke chhu jaaun main
Ji karta hai pankh lagake udh jaaun main
Paigaam laya saawan
Daaman se

Watch Video