O Haseena Zulfon Wali Jaan-e-Jahan
Teesri Manzil
Lyrics
O haseena zulfon wali jaan-e-jahan
Dhoondhti hai kafir aankhen kiska nishaan
O haseena zulfon wali jaan-e-jahan
Dhoondhti hai kafir aankhen kiska nishaan
Mehfil mehfil ae shamma phirti ho kahan
Mehfil mehfil ae shamma phirti ho kahan
Woh anjana dhoondhti hoon
Woh deewana dhoondhti hoon
Jalakar joh chup gaya hai
Woh parwana dhoondhti hoon
Garm hai, tezz hai yeh nigahein meri
Kaam aa jaayengi sard aahein meri
Tum kisi raah mein toh miloge kahin
Arre ishq hoon, main kahin theharta hi nahi
Main bhi hoon galiyon ki parchai
Kabhi yahan, kabhi wahan
Shaam hi se kuch ho jaata hai
Mera bhi jadoo jawaan
O haseena zulfon wali jaan-e-jahan
Dhoondhti hai kafir aankhen kiska nishaan
Mehfil mehfil ae shamma phirti ho kahan
Mehfil mehfil ae shamma phirti ho kahan
Woh anjana dhoondhti hoon
Woh deewana dhoondhti hoon
Jalakar joh chup gaya hai
Woh parwana dhoondhti hoon
Chup rahe hai yeh kya dhang hai aapka
Aaj toh kuch naya rang hai aapka
Haaye aaj ki raat main kya se kya ho gayi
Aha aapki saadgi toh bala ho gayi
Main bhi hoon galiyon ki parchai
Kabhi yahan, kabhi wahan
Shaam hi se kuch ho jaata hai
Mera bhi jadoo jawaan
O haseena zulfon wali jaan-e-jahan
Dhoondhti hai kafir aankhen kiska nishaan
Mehfil mehfil ae shamma phirti ho kahan
Mehfil mehfil ae shamma phirti ho kahan
Woh anjana dhoondhti hoon
Woh deewana dhoondhti hoon
Jalakar joh chup gaya hai
Woh parwana dhoondhti hoon
Thehariye toh sahi, kahiye kya naam hai
Meri badnaamiyon ka wafa naam hai
Oh o qatl karke chale, yeh wafa khoob hai
Haaye nadaan teri yeh adaa khoob hai
Main bhi hoon galiyon ki parchai
Kabhi yahan, kabhi wahan
Shaam hi se kuch ho jaata hai
Mera bhi jadoo jawaan
O haseena zulfon wali jaan-e-jahan
Dhoondhti hai kafir aankhen kiska nishaan
Mehfil mehfil ae shamma phirti ho kahan
Mehfil mehfil ae shamma phirti ho kahan
Woh anjana dhoondhti hoon
Woh deewana dhoondhti hoon
Jalakar joh chup gaya hai
Woh parwana dhoondhti hoon
Watch Video