Lyric4U
Nikle The Kabhi Hum Ghar Se

Dunki

Watch Video
Lyrics
Nikle the kabhi hum ghar se
Ghar dil se magar nahi nikla
Ghar basa hai har dhadkan mein
Kya kare hum aise dil ka
Badi door se aaye hai, badi der se aaye hai
Par yeh na koi samjhe hum log paraye hai
Katt jaaye patang jaise aur bhatke hawaon mein
Sach puchho toh aise din humne bitaye hai
Par yeh na koi samjhe hum log paraye hai
Yehi nagar yehi hai basti
Aankhen thi jisse tarasti
Yahan khushiyan thi kitni sasti
Jaani pehchani galiyan
Lagti hai purani sakhiyan
Kahan kho gayi woh rang raliyan
Bazaar mein chai ke dhaabe
Bekaar ke shor sharaabe
Woh dost woh unki baatein
Woh sare din sab raatein
Kitna gehra tha gham in sabko khone ka
Yeh keh nahi paaye hum, dil mein hi chupaye hai
Par yeh na koi samjhe hum log paraye hai
Nikle the kabhi hum ghar se
Ghar dil se magar nahi nikla
Ghar basa hai har dhadkan mein
Kya kare hum aise dil ka
Kya humse hua, kya ho na saka, par itna toh karna hai
Jis dharti pe janme the us dharti pe marna hai
Jis dharti pe janme the us dharti pe marna hai
Watch Video