Nigaah-e-Naaz Ke
Barsaat Ki Raat
Lyrics
Ada bijli, badan shola
Ada bijli, badan shola
Bhanve khanjar, nazar qatil
Galat kya hai humein kehti hai yeh duniya agar qatil ... to phir
Nigaah-e-naaz ke
Oye nigaah-e-naaz ke, haan haan nigaah-e-naaz ke
O ho nigaah-e-naaz ke maaro ka haal kya hoga
Nigaah-e-naaz ke maaro ka haal kya hoga
Nigaah-e-naaz ke
O nigaah-e-naaz ke maaro ka haal kya hoga
Na bach sake to, haan haan na bach sake to
Na bach sake to, na bach sake to, haaye na bach sake to
Na bach sake to bechaaro ka haal kya hoga
Na bach sake to bechaaro ka haal kya hoga, kya hoga, kya hoga
Nigaah-e-naaz ke
Hum hi ne ishq ke qabil bana diya hai tumhe
Hum hi ne ishq ke qabil bana diya hai tumhe
Hum hi ne ishq ke, aji zara dekho
Hum hi ne ishq ke, aji zara dekho
Hum hi ne ishq ke qabil bana diya hai tumhe
Hum hi ne ishq ke qabil bana diya hai tumhe
Hum hi na ho to, haan haan hum hi na ho to, o ho hum hi na ho to
Hum hi na ho to nazaaro ka haal kya hoga
Hum hi na ho to nazaaro ka haal kya hoga, kya hoga, kya hoga
Hum hi na ho to
Hamare husn ki bijli
Hamare husn ki bijli
Hamare husn ki bijli chamakne wali hai
Hamare husn ki bijli chamakne wali hai, wali hai
Ki bijli chamakne wali hai
Hamare husn ki bijli chamakne wali hai
Na jaane aaj, haan haan na jaane aaj
Na jaane aaj, na jaane aaj, aaj, aaj
Na jaane aaj hazaaro ka haal kya hoga
Na jaane aaj hazaaro ka haal kya hoga, kya hoga, kya hoga
Nigaah-e-naaz ke
Bahaar-e-husn salamat fiza se pooch zara
Bahaar-e-husn salamat fiza se pooch zara
Fiza se pooch zara, fiza se pooch zara
Bahaar-e-husn salamat fiza se pooch zara, pooch zara ... kya
Ke chaar din mein, haan haan ke chaar din mein
Ke chaar din mein, ke chaar din mein, ke chaar din mein, ke chaar din mein
Ke chaar din mein bahaaro ka haal kya hoga
Ke chaar din mein bahaaro ka haal kya hoga, kya hoga, kya hoga
Ke chaar din mein
Rang par naaz na kar kyun ki rang badal jaata hai ... wah wah
Yeh woh mehmaan hai joh aaj aata hai kal jaata hai
Ishq par naaz kare koi to kuch baat bhi hai
Husn ka naaz hi kya, husn to dhal jaata hai
Husn ka naaz hi kya, husn to dhal jaata hai
Bahaar-e-husn salamat fiza se pooch zara
Ke chaar din mein, haan haan ke chaar din mein
O ho ke chaar din mein bahaaro ka haal kya hoga
Ke chaar din mein
Hum apne chehre se parda utha to de lekin
Hum apne chehre se parda utha to de lekin
Hum apne chehre, apne chehre se parda, haaye parda parda
Apne chehre se parda, haaye parda parda
Apne chehre se parda utha to de lekin
Gareeb chaand, haan haan gareeb chaand
Gareeb chaand, gareeb chaand, chaand, chaand
Gareeb chaand sitaaro ka haal kya hoga
Gareeb chaand sitaaro ka haal kya hoga, kya hoga, kya hoga
Nigaah-e-naaz ke
Muqabala hai to phir der kya hai teer chala
Muqabala hai to phir der kya hai teer chala
Muqabala hai, muqabala hai, muqabala hai, arre muqabala hai
Muqabala hai to phir der kya hai teer chala
Muqabala hai, muqabala hai
Mar jaaye jo marta hai koi teri bala se
Mar jaaye jo marta hai koi teri bala se
Mar jaaye jo marta hai koi teri bala se
Tu dekh meri jaan is hi matwali ada se
Tu dekh meri jaan, meri jaan dekh meri jaan
O meri jaan, dekh meri jaan is hi matwali ada se
Utha parda, dikha jalwa, gira bijli, mila nazrein
Utha parda, dikha jalwa, gira bijli, mila nazrein
Muqabala hai, muqabala hai, muqabala hai, muqabala hai
Arre muqabala hai to phir der kya hai teer chala
Tu yeh na soch ke, haan haan tu yeh na soch ke
Tu yeh na soch, tu yeh na soch ke, tu yeh na soch
Tu yeh na soch ke yaaron ka haal kya hoga
Tu yeh na soch ke yaaron ka haal kya hoga, kya hoga, haal kya hoga
Yaaron ka haal kya hoga
Yaaron ka haal kya hoga
Yaaron ka haal kya hoga
Tu yeh na soch ke yaaron ka haal kya hoga
Tu yeh na soch ke
Watch Video