Neela Aasman So Gaya (Female)
Silsila
Lyrics
Neela aasman so gaya
Neela aasman so gaya
Neela aasman so gaya ho
Neela aasman so gaya
Aansuon mein chaand dooba raat murjhayi
Aansuon mein chaand dooba raat murjhayi
Zindagi mein door tak phaili hai tanhai
Joh guzre hum pe woh kam hai
Tumhare gham ka mausam hai
Neela aasman so gaya
Neela aasman so gaya
O yaad ki vaadi mein goonje beete afsaane
Yaad ki vaadi mein goonje beete afsaane
Humsafar joh kal the ab thehre woh begaane
Mohabbat aaj pyaasi hai
Badi gehri udaasi hai
Neela aasman so gaya ho
Neela aasman so gaya
Neela aasman so gaya
Neela aasman so gaya
Neela aasman so gaya
Watch Video